Thursday, 1 June 2017

Top #50+ Dosti Shayari in Hindi (Dost Dosti Bhai Bhai Collection)

Dosti Shayari: Hey There! are you looking for Dosti Shayari, Dosti Shayari in Hindi, Hindi Dosti Shayari? If yes then you are here at the right place. Here at Hindi Shayari Hub we have published a great collection of Dosti Shayari, Dosti Shayari in Hindi, Hindi Dosti Shayari.
You can this collection in various ways you can use it as a WhatsApp Status, Facebook Status or as SMS.


 Top #50+ Dosti Shayari in Hindi (Dost Dosti Bhai Bhai Collection) 

Wada na karo agar tum nibha na sako,
Chaho na usko jise tum pa na sako,
Dost to duniya me bahot hote hai,
Par ek khas rakho jiske bina tum muskura na sako.

Muskurahat ka koi mol nahi hota
Kuch risto ka koi tol nahi hota
Log to mil jate hai har modh par ..
Har koi aap ki taraha anmol nahi hota.


 Duao pe hamari aitabaar rakhana,
dil mein apne na koi saval rakhana,
dena chahate ho agar khushiya hamen,
to bas aap khush rahana aur apana khyaal rakhana.
Good Morning
Dosti Shayari
Dosti Shayari



Yakin nahi tujhe agar, to aajmaa ke dekh le,
ek baar tu, jara muskura ke dekh le
jo na socha hoga tune, wo milega tujhko bhi,
ek baar apne kadam, ko badha ke dekh le.


Dosti wo nahi hoti jo Jaan deti hai,
Dosti wo nahi hoti jo Muskaan deti hai,
asli dosti to wo hoti hai..
Jo pani me gira aansu bhi pehchan leti hai.

Top #200+ 2 Line Shayari (Awesome Collection of All Time)




Ek jaise dost sare nahi hote,
Kuch hamare hokar bhi hamare nahi hote,
Aapse dosti karne ke baad mehsus hua,
Kaun kehta hai ‘taare zamin par’ nahi hote.

dosti shayari in urdu



Phool bankar muskarana zindagi hai,
muskarake gum bhulana zindagi hai,
jeet kar koi khush ho to kya hua,
haar kar khushiya manana bhi zindagi hai!


Chahat wo nahi jo jaan deti hai,
Chahat wo nahi jo muskaan deti hai,
Ae dost chahat to wo hai,
Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.
Dosti Shayari
Dosti Shayari



Zindagi lehar thi aap sahil hue,
Na jaane kaise hum aapki dosti ke qabil hue,
Na bhulenge hum us haseen pal ko,
Jab aap hamari choti si zindagi mei shamil hue.


Gulaab khilte rahe zindgi ki raah mein,
hassi chamakti rahe aapki nigaah mein,
khushi ki lahar mile har kadam par aapko,
deta hai ye dil dua baar-baar aapko.


Dost kabhi dosto se khafa nahi hote,
Mile dil kabhi juda nahi hote,
Bhula dena mere kamiyo ko kyunki,
Dost kabhi khuda nahi hote.


दोस्त को दोस्त का इशारा याद रहेता हे,
हर दोस्त को अपना दोस्ताना याद रहेता हे,
कुछ पल सच्चे दोस्त के साथ तो गुजारो,
वो अफ़साना मौत तक याद रहेता हे|



Aapki hasi bahut pyaari lagti hai,
Aapki har khushi hamein hamari lagti hai,
Kabhi door na karna khud se humein,
Aapki dosti humein jaan se bhi pyaari lagti hai.


Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai,
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai,
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh,
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.

beautiful dosti shayari



देखी जो नब्ज मेरी,
हँस कर बोला वो हकीम,
जा जमा ले महफिल पुराने दोस्तों के साथ..
तेरे हर मर्ज की दवा वही है ..


Kisi roj yaad na kar pau to khudgarj na samjh lena,
Darasl choti si iss umar mai presaniya bhut hai,
Main bhoola nhi hu kisi ko mere bahot achhe dost hai zmane me,
Bs thodi zindagi uljhi pdi hai do waqt ki roti kmane me.
Dosti Shayari
Dosti Shayari



Teri dosti ki aadat si pad gayi hai mujhe,
Kuch der tere sath chalana baki hai.
Shamshan mein jalta chodkar mat jana,
Warna ruh kahegi k ruk ja,
Abhi tere yaar ka dil jalna baki hai.


Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!



Chote se dil me gum bahut hai,
Zindagi me mile zakham babut hai,
maar hi dalti kab ki duniya humein,
Kambakht dosto ki duao me dam bahut hai.

Top #100+ Dil Shayari in Hindi (Dil Ka Dard Collection)




Gunah Karke Saza Se Darte Hain,
Zahar Pee Ke Dawa Se Darte Hain,
Dushmano Ke Sitam Ka Khauff Nahi,
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain!

Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka,
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya,
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki,
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya.


सबसे अलग सबसे न्यारे हो आप,
तारीफ कभी पुरी ना हो इतने प्यारे हो आप,
आज पता चला कि जमाना क्यों जलता है हमसे,
क्यों कि दोस्त तो आखिर हमारे हो आप…


Ise duniya mein dost kam milenge,
Ise duniya mein gam hi gam milenge,
Jaha duniya najar fer legi,
Use mode par tumhein hum milenge.

dard bhari dosti shayari



Chote Se Dil Ke Afsane Bahut Hai,
Zindagi Se Zyada Zakhm Bahut Hai,
Maar Dalti Kab Ki Ye Duniya Par..
Dosto Ki Duao Mai Asar Bhut Hai !!!  


Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai. 


Kushboo mein ehsaas hota hai,
Dosti ka rista kuch khaas hota hai,
Har baat juba se kehna mumkin nahi,
Isliye to dosti ka naam vishwash hota hai.


Har Dost se achi baat karna fitrat hai hamari,
Har dost khush rahe hasrat hai hamari,
Koi hum ko yad kare na kare,
Har dost ko yaad karna aadat hai hamari.


Kab maine kaha ki shona aur chandi chahiye,
Bas aapki dil me chhota sa kona chahiye,
Jise hum keh sake dilse apna,
Aisa bhi to koi yaar hona chahiye


Kamyabi badi nahi paane wale bade hote hai.
Zakhm bade nahi bharne wale bade hote hai.
Itihas k har panne p likha hai.
Dosti badi nahi nibhane wale bade hote hai?


Khushi ki parchhaiya ka naam ha zindgi,
Gamo ki gahhriyo ka naam ha zindgi,
Ek pyaara sa yaar hai humara,
Usi ki pyari si hassi ka naam hai zindgi,  


Ae dost kabhi mujhe bhula na dena,
Is hanste hue chehre ko kabhi rula na dena,
Kabhi kisi baat per khafa ho bhi jao,
Par mujhse door hokar mujhe judai ki saza na dena.



Dosti Ka Haq Hum Yun Ada Karte Hain,
Dost Ke Naam Per Jaan Fida Karte Hain,
Tumhe Phool Ka Zakham Bhi Na Anne Paye,
Allah Se Roz Yeh Dua Karte Hain.

Top #30+ Birthday Shayari in Hindi (Wishes | Greetings)





Ek jaam ulfat ke naam,
Ek jaam mohabat ke naam.
Ek jaam wafa k naam,
Puri botal bewafa ke naam,
Aur pura theka doston ke naam.



Aye khuda dua ye meri khali na jaye,
Ke mere dost ki palkon mein kabhi aansu na aaye,
Aansu nikle to khushi ke nikle,
Gham ke aansu mere hisse mein aa jaye.


Aye khuda dua ye meri khali na jaye,
Ke mere dost ki palkon mein kabhi aansu na aaye,
Aansu nikle to khushi ke nikle,
Gham ke aansu mere hisse mein aa jaye.

dosti shayari funny

 


Fasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
Bichhad jayein jo kabhi aap se hum,
Aankhon mein hamesha hamara intejar rakhna.


Tusi door gaye intzar kita,
Tusi kol aye pyar kita,
Tusi rus gaye razi kita,
Tusi yaad aye miss kita,
Jad miss kita SMS kita,
Ek gal daso sab kuch asi kita,
Tusi ki kita.


Aapki aankhon mein milegi hamein panah,
Chahe samjho dil lagi ya samjho gunah,
Bhaley hi hamein koi deewana qarar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein fanaa.

Duaon mein shamil ho is tarah,
Phoolon mein hoti hai khushbu jis tarah.
Khuda aapki zindagi mein itni khushiyan de,
Dharti par hoti hai baarish jis tarah.


Hansee chhupana kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Milte hain log is tanha zindagi mein par,
Har koi dost tumsa payara nahi hota.


Dost shabd nahi jo mit jaaye,
Umra nahi jo dhal jaaye,
Safar nahi jo kat jaaye,
Yeh woh ehsaas hai,
Jiske liye jiya jaaye to..
Zindagi kam pad jaaye.


Khusboo ki tarah meri sanson mein rehna,
Lahu banke meri nas nas mein behna,
Dosti hoti hai rishton ka anmol gehna,
Isliye dost ko kabhi alvida na kehna.


Dua Karna Yaaro Judaa Ho Rahe Hain,
Rahi Zindagi Toh Fir Aakar Milenge,
Agar Mar Gaye Toh Dua Karte Rahna,
Aansu Bahaane Ki Koshish Na Karna.


Sab Kuchh Milta Hai Duniya Mein,
Magar Ek Pyar Nahi Milta,
Dushman Toh Laakhon Milte Hain,
Magar Sachha Yaar Nahi Milta,
Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Fir Kabhi Bhi Dubara Nahi Silta.

Kyo Koi Chah Kar Dosti Nibha Nahi Pata,
Kyo Koi Chah Kar Rishta Bana Nahi Pata,
Kyo Leti Hai Zindagi Aisi Karwat,
Ki Koi Chahkar Bhi Pyar Jata Nahi Pata.


Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.

Top #100+ Dard Shayari in Hindi (Pain Collection)




Maine Pani Me Ek Ka Sikka Dala
Aur God Se Ek Pyara Sa Dost Manga
Mujhe Aap Mil Gaye
Aur Upar Se Awaz Ayi
Ek Rupee Me Itna Hi Milta Hai

dosti shayari in hindi language



Main Tere Aane Ka Intejar Karunga
Tu Jaha Jaigi Main Tere Sath Rahunga
Tu Jab Mujhe Yad Karegi Mai Tere Paas Aaunga
Ye Dosti Mai Marte Dum Tak Nibhata Rahunga
Aur Na Nibha Saka To Main
Tere Hath Kisi Aur Ke Hath Me Dekar Jaunga.


Khuda Ka Sukr Karta Main,
Ki Usne Aapko Hum Se Mila Diya,
Yeh Alag Baat Hai Eh Mere Dost,
Aapne Darde Dil Hamara Badha Diya.


Yeh Sach Nahi Hai Eh Mere Ajij Dost,
Ki Humne Kabhi Bhi Yahan Pyar Nahi Kiya,
Pyar Toh Humne Bhi Kiya Tha Kisi Se Magar,
Yeh Sach Ahi Ki Kabhi Ijhaar Nahi Kiya.


Phool Khile Hain Baagon Mein,
Fir Se Baharein Aayi Hain,
Mere Liye Kya Mayne Inke,
Yaar Ko Sang Na Layi Hain.


Dekho Yaaro Hamein Aawaj Na Dena,
Hum Na Wapas Kabhi Aa Paayenge,
Us Din Manana Yaaro Id Tum,
Jab Hum Duniya Se Chale Jaayenge.


Meri Rooh Bhi Shayad Bhatkegi Duniya Mein,
Suna Hai Pyar Karne Waale Marte Nahi Kabhi,
Kya Karenge Ji Kar Hum Bin Yaar Ke Khuda,
Dekh Marne Se Bhi Dilwale Darte Nahi Kabhi.



Tu Jo Hai Saath To Hai Har Khushi,
Tere Saath Hi Hai Meri Yeh Zindagi,
Tera Saath Hai To Hai Sab Kuchh Mera,
Tere Bin To Yara Main Kuchh Bhi Nahi.



Kya ho agar aapka pyar aapse door chala jaye,
Phir naa kabhi wo zindagi me paas laut kar aaye,
Chhupke sabse chori se fir dil ye bahut rota hai,
Sach hai dosto kisi ko bhulana aasan nahi hota hai.


Teri ulfat ko kbhi naakam na hone denge,
Teri dosti ko kbhi badnam na hone dege,
Meri zindagi me sooraj nikale naa nikale,
Teri zindgi me kbhi sham na hone denge.


Khushiyon ka ek sansar leke aayenge,
Patjhad mein bhi bahaar leke aayenge,
Jab bhi pukar lenge aap dil se,
Jindgi se saanse udhar leke aayenge.


Dost tu hai mera sabse nyara,
Tujhe mubarak ho tera janmdin yaara,
Mere bhi na nazar lage tujhe
Kabhi udaas na ho tere yeh chehra jo bada hai pyara.



Humne To Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,
Aap To Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Humko Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge.


Eh Mere Dost Itna Khyal Rakhna,
Apne Dil Ko Aise Hi Paak Rakhna,
Kal Main Na Bhi Rahun Is Jahan Mein Agar,
Yeh Aarju Hai Aap Hamein Yaad Rakhna.


Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.

Dosti Ka Farz Yun Hi Nibhate Rahenge,
Wakt Bewakt Aapko Satate Rahenge,
Dua Karo Ke Umar Lambi Ho Hamari,
Varna Yaad Ban Ke Aapko Satate Rahenge.


Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,
Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.


Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,
Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro.


Tu salaamat rahe ye dua hai hamari,
Dosti ke liye sochna aadat hai hmari,
Kabi musibat na aye dost tujh par,
Yahi harpal dil se duwa hai hamari.


Yaadein Do Dilon Ke Faasle Ko Kaam Karti Hai,
Zindagi Aap Jaise Doston Par Naaz Karti Hain,
Mat Ho Udas Ke Aap Dur Hain Humse Kyun Ke..
Duriyan Hi Rishton Ko Aur Khas Karti Hain.


Did you like our varieties of Dosti Shayari, Dosti Shayari in Hindi, Hindi Dosti Shayari? We have gathered the lots of unique and beautiful Dosti Shayari, Dosti Shayari in Hindi, Hindi Dosti Shayari for you. May you all would have liked it. If you really liked it then don’t forget to share it through the medium of social media to your friends and family. Thanks for a visit.

0 comments:

Post a Comment